Allama Muhammad Iqbal - Ya Rab Dil e muslim Ko
YA RAB! DIL-E-MUSLIM KO - DUA |
"ya rab! dil-e-muslim ko woh zinda tamana de
jo qalb ko garma de, jo rooh ko tarpa de"
"phir wadi-e-faran ke har zarre ko chamka de
phir shauq-e-tamasha de, phir zauq-e-taqaza"
"mehroom-e-tamasha ko phir dida-e-beena de
dekha hai jo kuch mein ne auron ko bhi dikhla de"
"bhatke huway aahu ko phir soo’ay haram le chal
iss sheher ke khugar ko phir wusaat-e-sehra de"
$ads={1}
"paida dil-e-weeran mein phir shaurish-e-mehshar kar
iss mehmil-e-khali ko phir shahid-e-laila de"
"iss dour ki zulmat mein har qalb-e-preshan ko
woh dagh-e-mohabbat de jo chand ko sharma de"
"riffat mein maqasid ko humdosh-e-surraya kar
khuddari-e-sahil de, azadi-e-darya de"
"be lous mohabbat ho, bebak sadaqat ho
seenon mein ujala kar, dil soorat-e-meena de"
"ehsas anayat kar asaar-e-mosibat ka
amroz ki shuarish mein andesha-e-farda de"
"main bulbul-e-nalan hun ek ujre gulistan ka
taseer ka saa’il hun, mauhtaj ko, data de"
Check Out: Jab Kabhi Koi Mard Kisi Aurat